50 Best Dialogue Amitabh Bachchan

DhaRmiN

Member
Joined
2 Dec 2012
Messages
41
Reaction score
8
1.Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah. - Shahenshah

2. Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa. - Laawaris

3. Tumhara naam kya hai, Basanti? - Sholay

4. Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye seedhi tahrah khade raho. - Zanjeer

5. Jao pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mera baap ko chor kaha tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne meri maa ko gali deke naukri se nikal diya tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mere haath pe ye leekh diya tha..ye.. Uske BAAD, us ke baad, mere bhai, tum jahan kahoge main wahan sign kar doonga. - Deewar

6. Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon. - Trishul

7. Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho. - Sharabi

8. Angrezon ke zamaane ke jailor, aur itni ghabrahat? - Sholay

9. Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain. - Muqaddar Ka Sikander

10.Jiske seene mein dil hi nahin, usse dil ka daura kya padega? - Coolie

11. Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. - Don

12. Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain. - Deewar

13. Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata hai � Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne padti to shadab ho bhi sakti thi. - Kabhi Kabhie

14. Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota - Chupke Chukpe

15. Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere naajayaz baap hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta. - Trishul

16. Hum bhi to roz khatro se khelte hai.- Sholay

17. Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal... - Agneepath

18. You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega. - Trishul

19. Jo kal hua, woh dobara nahi hoga. - Sholay

20. Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai. - Sharabi

21. Parampara, Pratishtha, Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain. - Mohabbatein

22. Apni sharto par chalne wale ko keemat chukani padati hai, mujhe jo sahi lagta hai wo mai karta hu - Sarkar Raj

23. Anand mara nahi, Anand marte nahi. - Anand

24. Arre yeh jeena bhi koi jeena hai, Lallu? - Mr Natwarlal

25. Wahan se tumhe yeh cheh dikh raha hoga. Lekin yahan se mujhe yeh nau dikhta hai. Yeh farq is liye hai kyonki tum isse apni jagah se dekh rahe ho aur main apni. Hum dono apni apni jagah sahi hain. Bas humare dekhne ka nazariya alag alag hai. Hum dono ke beech mein yeh farq saari zindagi bana rahega. Isliye tum wohi karo jo tum apna farz samajhte ho. Aur main wahi karoonga jo main apna dharam samajhta hoon. Agar main jeeta toh tumhe apne pita pe garv hoga. Lekin kahin agar tum jeet gaye to mujhe bhi apne bete pe garv hoga lekin meri aatma ko shanti nahi milegi. - Aakhree Raasta

26. Is duniya mein do tarah ka keeda hote hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai. Kachre wala keeda insaan ko bimaar kar deta hai. Magar paap ki gandegi ka keeda saare samaaj ko bimaar kar deta hai. Kachre ke keede ko maarne ke liye flit bazaar mein milta hai. Magar paap ke keede ko marne wala flit, saala, bana hi nahi hai aaj tak. - Hum

27. Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahin se shuru hoti hai. - Kaalia

28. Ghadi Ghadi drama karta hai, saala. - Sholay

29. Yeh koyle ki khaan ek azgar hai seth sahaab, jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jissm se khoon ka ek-ek katra chooskar, ek laash ke roop mein ugal deta hai. -Kaala Paththar

30. Lekin woh aayee kyon nahin? - Naseeb31. Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara. - Muqaddar Ka Sikander

32. Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha. - Kaalia

33. Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saathsau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal. - Coolie

34. Apun woh kutte ki dum hai, jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun seedha nahin hota! - Laawaris

35. I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairo becomes Byron because their minds are very narrow. - Namak Halal

36. Narang saab, yeh kaam koi bhi insaan akele kar sakta tha, basharte ki use bhi meri hi tarah yeh pata hona chahiye ke woh is duniya mein akela aaya hai aur akela hi jaayega, isliye agar usey kuch karna hai toh woh bhi akele hi karna hoga. - Shakti

37. Jo mard hota hai, usey dard nahi hota. - Mard

38. Main aur meri tanhaai -- aksar ye baatein karte hai.... - Silsila

39. Aurto ko eenhone ek ghante mein sikha diya hai. - Sholay

40. Daaru peene se liver kharab ho jaata hai. - Satte Pe Satta

41. Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai -- aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai. - Agneepath

42. Pagar badao... pandrasau rupiye me ghar nahin chalta, saala imaan kya chalega? - Agneepath

43. Don't mess with the army. - Major Saab

44. Sooryavansh ek aag hai jisme doston ke liye jitni jyoti hai, dushmanon ke liye utni hi jwala. Bhoon dalo is kambaqt ko. - Sooryavansham

45. Partner, ab bol hi diye ho to dekh lenge. - Sholay

46. Ek rahen iir, ek rahen beer, ek rahen patte aur ek rahen hum. - Adaalat

47. Ek phool de dona ma, wahan ees ke mafak koi kadak afsar mil gaya to ooske hum yeh phool deke apun ka baap bana denga. - Amar Akbar Anthony

48. Is Imaarat ki neev itni majboot hai ke koi Raaj Aryan Haathon me Violin aur chehre pe Muskaan liye uski ek bhi eeint Hilane ke liye kadam nahi rakh sakta Mohabbatein

49. Kallu se Kaalia ka safar shuru. - Kaalia

50. Do aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?...Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata? - Sharabi
 
Back
Top Bottom
AdBlock Detected

We get it, advertisements are annoying!

Sure, ad-blocking software does a great job at blocking ads, but it also blocks useful features of our website. For the best site experience please disable your AdBlocker.

I've Disabled AdBlock