Some more dialogues for you to watch and remember the departed legend. Episode 111 is my favourite. I never understood the meaning of the word
waidai until now. I think it is a Mumbai tapori slang.
Sorry but the below dialogues cannot be translated as otherwise they will lose their essence.
EPISODE 111
Jethalal to Nattu Kaka: Aaj ghar mein kaam kiya toh itne jor ki bhookh lagi hai, Nattu Kaka, kya batau, wah wah wah… (opens tiffin box) Eh! Yeh kya? Aaj Daya sabzi rakhna hi bhool gayi? NK: Sethani sabzi rakhna bhool gayi, uska matlab jaante hain? (Kya?) Grahon ki
waidai. Grahon ka dedh-siyanapan, panauti. Sethji, aapke grah sudhar sakte hain. (Kaise?) Punya kamakar. Aur punya aap tabhi kamayenge jab aap achha kaam karenge. Aur achha kaam yeh hai ki— JL: Aapki chhutti kar doon? NK: Nahi, nahi! Meri chhutti karenge toh aapki chhutti ho jayegi. (Eh?) Itni badi dukan sambhalega kaun? Mera matlab hai, punya karne ka kaam ek hi hai ki aap meri pagaar badha dijiye.
Source
Another epic one is this, where Jethalal loses his cool because of Nattu Kaka.
Jethalal to Nattu Kaka: Mere bapuji hain toh kya hua, Nattu Kaka? Kal agar Bapuji aakar aapko kahenge, ki ‘Nattu Kaka, yeh dukaan jalaani hai, zara machis dena’, toh aap machis denge? NK: Khali machis se thoda kam chalega. Petrol bhi lake dena padega na. JL: Matlab aap is dukan ko aag lagne denge, eh?! Nattu Kaka, is dukan ko aag lag jayegi, toh aap khayenge kya? NK: Arre Sethji, lekin is dukan ke aag lagne se khane ka kya sambandh? Khana toh mera Padmavati Bhojnalay se aata hai. JL: Arre yeh dukan jal jayegi toh aap kaam kahan karoge?! NK: Arre yeh dukan jal gayi toh aap dusri dukan kholenge na? Vahan kaam karunga. (pause) Sethji, vaise mujhe pakka maloom hai ki aapke bapuji dukan ko aag nahi lagayenge. Woh pagal thode hain. JL: Toh kya main pagal hoon, eh?! Na, bolo! Jo aa gaya dil mein bolo, KYA MAIN PAGAL HOON?
MAIN KYA PAGAL HOON?!?! EH?!
Source