DDF Exclusive Toonami Revamped with New Program Contents ..

  • Thread starter Sai Jai
  • Start date
  • Replies: Replies 65
  • Views: Views 12,425
Bhaeeyon, aap sabhi, aaj umar ke is padhav me pahuchne ke baad, (mera matlab hai ki lagbhag 20 se 40 saal ke beech me hi sabhi honge), apni bachpan ki yaadein taaza karne ke liye ye old cartoon shows dekh rahein hain aur khush bhi ho rahe hain kyonki aaj aapko bhasha hindi ya english ho koee fark nahin padta balki aaj to original english audio me hi jyada achcha lagta hai, par mujhe aisa lagta hai ki sabki ye khushi jyade din tak nahin rahne waali, kyonki jab ye channel hi nahin rahega to ye classic cartoons kahan se dikhenge ¡¡
.
dar-asal, ye jo bachchon ka channel hai Toonami, ye channel aap sabhi ke ya hamaare liye to launch hua nahin hai, balki ye to kids ke liye launch hua hai jismein jyadatar dekhane waale bachche hindi samajhte hain phir tamil aur telugu samajhne waale bachche aate hain, aur english medium waale chhote bachche bhi dekhane ke mamale hindi hi prefer karte hain ya phir kshetriya bhasha jaise Tamil-Telugu, kyonki cartoon to wo maje ke liye dekhte hain na, na ki padhne ke liye ¡¡
.
khair, ab jo ye badle hue swaroop mein, mera matlab hai ki ab jo ye classic cartoons waala Toonami channel hai, use kamse-kam hindi me to hona hi padega, nahin to ye purane cartoons wala channel ek mahine ke bhitar hi dam tod dega, matlab ki market me nahin chalega, aur agar ye channel daudana chaahta hai to phir to ise audio tamil aur telugu me bhi lana padega, bahar-haal abhi sirf english audio ke saath to ye channel apne aapko atmahatya ki or agrasar kiye hue hai kyonki is surat-e-haal me isko chaahne wale sirf chand hi log hain jaise hum aur aap aur hum jaise hi kuchh aur log ¡¡
.
bhaeeyon, ab baat chuki hindi bhasha ki thi, bas isiliye socha ki hindi me hi post kar doon, waise hindi mein post karne ke liye main aap sabse tahe dil se kshamaa prarthi hoon ¡¡
 
Aap zara translate kijiye Angrezi mein. :tup

Pls give translation in English

..
 
The meaning of 'Aap zara translate kijiye Angrezi mein' means 'Please give translation in English'. :grin :lol:blush
He is trying to say that this channel is there for the purpose of airing classic cartoons in any language, be it Hindi or English. But if the channel itself is not there how will the programs come? And if Toonami is to survive, it has to launch at least a Hindi feed, later possibly a Tamil or Telugu feed. The viewers of a kids channel (I am talking about kid viewers) will always prefer to watch it in a regional language. If this is not done he says it will shut down very fast.
 
Last edited:
Toonami is failed in Asia region. ....thats why they Shutdown or rebranding that channel...
Example..starting of 2017 they Rebranding Toonami Thailand as TNT THAILAND...
 
Guys is it "Road Runner show" currently running in Toonami ??

..
 
Back
Top Bottom
AdBlock Detected

We get it, advertisements are annoying!

Sure, ad-blocking software does a great job at blocking ads, but it also blocks useful features of our website. For the best site experience please disable your AdBlocker.

I've Disabled AdBlock